Khuda Kare Ke Achanak Woh Saamne Aakar //so sad shayari - Fast jobs point

Latest

Jobs Vacancies is your trusted destination for the latest job opportunities across India. We provide daily updates on government jobs, private jobs, IT jobs, work-from-home, remote jobs, internships, and fresher openings. Our goal is to help job seekers find verified career opportunities with detailed eligibility, salary, location, and application information—all in one place.

Tuesday, July 5, 2022

Khuda Kare Ke Achanak Woh Saamne Aakar //so sad shayari

 Tum Hakiqat Ho Ya Fareb Meri Aankhon Ka,

Na Dil Se Nikalte Ho Na Zindagi Mein Aate Ho.
तुम हकीकत हो या फरेब मेरी आँखों का,
न दिल से निकलते हो न जिंदगी में आते हो।

Nahi Pasand Mohabbat Mein Milawat Mujhko,
Agar Wo Mera Hai To Khwab Bhi Bas Mere Dekhe.
नहीं पसंद मोहब्बत में मिलावट मुझको,
अगर वो मेरा है तो ख्वाब भी बस मेरे देखे।

Badi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein,
Na Woh Khud Qaid Kar Sake Na Hum Azaad Ho Sake.
बड़ी अजीब सी बंदिश है उसकी मोहब्बत में,
न वो खुद क़ैद कर सके न हम आज़ाद हो सके।

Khuda Kare Ke Achanak Woh Saamne Aakar,
Mere Labon Ko Naye Kuchh Sawal De Jayein.
खुदा करे कि अचानक वो सामने आकर,
मेरे लबों को नए कुछ सवाल दे जायें।

Kar Kuchh Mera Bhi ilaaj Ai Haqeem-e-Ishq,
Jis Raat Poora Chaand Ho, Soya Nahi Jaata.
कर कुछ मेरा भी इलाज ऐ हकीम-ए-इश्क,
जिस रात पूरा चाँद हो, सोया नहीं जाता।

Dono Haatho Se Chhupa Rakha Hai Rukhsaron Ko,
Kis Tarah Bhaanp Liya, Tum Ne Iraada Mera.
दोनों हाथों से छुपा रखा है रुखसारों को,
किस तरह भांप लिया, तुम ने इरादा मेरा।

Unhin Ke Hath Mein Hai Nabz-e-Sukoon Shayad,
Qarar Dein Bhi To Jaise Udhaar Dete Hain.
उन्हीं के हाथ में है नब्ज़-ए-सुकून शायद,
क़रार दें भी तो जैसे उधार देते हैं।


No comments:

Post a Comment